saba ke sabz khitte se sunahre mausamon ki aarzu le kar dayar-e-jaan mein kyun aaya wo jis ki aankh chamkile dinon ka khoj deti hai jahan rangon ki dhun mein aashna manzar tahayyur ke khuli khwahish ke pani mein ubharte tairte hain dub jate hain wo mujh se puchhta hai sainkadon asrar jine aur marne ke nazar ka raushni se rabta kya hai lahu ko chandni se kya talluq hai faza ki god mein dam todti qaus-e-quzah kyun hai bichhadna yaad rakhna bhul jaana kis ko kahte hain mata-e-hasti-e-be-khanuman kya hai zamin kya hai zaman kya hai magar main lafz-gar hon kaise samjhaun ki mere tajarbe ki wusaton mein bhi saba ke sabz khitte se mere sukh ki qalam-rau tak tahayyur ka ilaqa hai jahan nile gharondon se sawalon ke parinde mail-e-parwaz rahte hain guman ki sar-zaminon ko saba ke sabz khitte ko nazar ke baadbanon se khuli khwahish ke pani tak parinde hairaton ki taza manzil ka ishaara hain parinde aagahi ka istiara hain