mire panw ke niche khak nahin kisi aur zamin ki mitti hai mere hath mein waqt ki rasen hain jo pal pal phisli jati hain aur hare darakhton ki shakhen mera rasta jhankti rahti hain aur sabz ghanera jangal hai mere panw ke niche chand nahin ek aur hi des ki mitti hai aur dhup ka dariya mauj mein hai aur dasht mere qadmon se lipta jata hai mujhe koi na koi bulata hai mere panw bhi mere panw nahin mera jism nahin meri jaan nahin meri aaankhon ne ghaddari ki mere hath kisi ne kat diye mera dil mujhe rah mein chhod gaya ab dhup ka dariya mauj mein hai aur dur koi jangal mein hai