jaane kin rahguzaron se daude chale aate hain lashen bhanbhodte, bu sunghte baith gae hain log ki baithe huon ko katte nahin! virani ke aqab mein raston aur shah-rahon ke kohram aur jalti-bujhti raushniyon ke taaqub mein phate hue halaq ke sath gadiyon ke sath sath bhagte hain diwar par tang utha chukne ke baad muaf kijiyega fatah-ali-khan sahib! aap ka alap, kanon mein jam gaya hai murkiyan tutti hain hum rukhsat ho rahe hain jine ke jawaz se dast-bardar patakhon se patlunen bachate phudakte phirte hain hamari qaumi mausiqi kafur ki mahak se bhi khali hai sadand hai chahaar jaanib aur bhunkne ki aawazen be-sur, be-tal jaan ki aman paun to sidha aap hi ki taraf aaunga!