kashmakash

har raat ja kar chhat pe
ek aisa sitara dhundhna

mumkin ho jas ka tutna
apni nazar ke samne

kuchh der tak kar aasman ko
thak chukin palken giri

jab khuli palken to dekha
aasman qadmon pe tha

wo khade the samne
jin ki thi dil ko aarzu

dekha usi pal gir raha hai
ek sitara tut kar

ab ye thi uljhan ki hum
dekhen unhen ya mang len

the isi uljhan mein hum
aur suni aahat tabhi

chaunk kar palken khulin to
dekh kar hairan the

raat khwabon mein guzari
kashmakash bhi fuzul thi

har raat ka hai silsila ye
aur nai umid hai

mil jaenge hum tum kahin
aur tutega tab ek sitara

us hasin pal ka rahe ga
ta-umr hum ko intizar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close