kash nur-e-sahar ki koi kiran zulf se karti mujh ko ham-aghosh dil mein jal uthti mishal-e-ummid dur hoti siyahi-e-gham-dosh kash mil jata naunihaal koi mujh ko khush rahna jo sikha deta taki main haalat-e-alam mein bhi jhumta gata muskura deta kash koi hasin doshiza raaz-e-masumiyat bata deti dil ko dho kar hawas ke dhabbon se husn-o-ulfat se jagmaga deti kash mard-e-jawan koi milta aur wo soz-e-dil ata karta jis se main maut se ladata aankh aur jine ka haq ada karta kash piri wo pur-shikoh mile waqt jis ko shikast de na sake jis ki wo chitwanon mein azm-e-shabab kam-sini yaad aae jab wo hanse kash taron ka tabnak jamal jaan-o-tan mein mere sama jata dur ho jati gham ki tariki jis taraf ho ke main guzar jata