kuen badhte hain badhti jati hai pyas man dolta hai dol dalne walon ka pahle rassi chura len phir dol phir kuan sab ek dusre se puchha karenge kuan dekha phir bhul jaenge kuan us ka jis ki rassi aur dol qazi us ka jis ke pas dirham-o-dinar gawahon ne apni aankhen phod li hain hont si liye hain mahaz shak ki buniyaad par fard-e-jurm aaed nahin kiya jata inhen ba-izzat bari kar do