lafz to banjh hain jazbon ki qadr kya jaanen zindagi bar chuke hon to qahr kya jaanen apne masum gulabon se hasin bachchon ki ek khoi hui muskan pe kuchh likhna hai un ki be-jaan nigahon pe mujhe kahna hai lafz to banjh hain qirtas ke aaine hain lafz zist ka unwan hain sarmaya hain phir bhi jazbaat ke akkas nahin ho sakte khauf ke shahr mein ehsas nahin ho sakte nauha-e-gham bhi to ehsas ki jaulani hai hae ai dil ki yahan khauf ki virani hai muntazir man jo khadi hai ki bahut der hui mere ghar-bar ki raunaq nahin aaya ab tak lafz mein dhund rahi hun ki use kaise kahun tera masum shahidon mein likha aaya nam apna jo bahut pyar se rakha tu ne tut kar dur kahin ja ke ki gira hai wo shajar jis ko din-raat mohabbat se sanwara tu ne lafz to banjh hain jazbaat nahin kah sakte waqt ke war ko us par nahin sah sakte