main aksar sard raaton mein zamin-e-khana-e-dil par akele baith jata hun phir apna sar jhuka kar yaad-e-ahd-e-raftagan dil mein sajata hun khayal-e-mazi-e-dauran mere is jism ke andar ajab tufan uthata hai hazaron mil ka lamba safar paidal karaata hai main yaadon ke dhundlakon mein tumhaare naqsh-e-pa ko dhundne jab bhi nikalta hun to ek tarik wadi mein utarta hun jahan yaadon ki kuchh be-rang taswiren mujhe bikhri padi malum deti hain mujhe aawaz deti hain ki wahshat ka ye jangal bahen phailae bulata hai mera shauq-e-nazar thak kar zamin par baith jata hai achanak jab tumhaari yaad ke wahshi jaanwar aawaz dete hain main darta hun ki jaise koi bachcha apne hi sae se dar jae koi shisha bikhar jae koi furqat mein ghabrae mere tar-e-nafas par zarb karti mustaqil dhadkan mujhe rukne nahin deti mujhe thakne nahin deti ye bechaini mujhe phir ek safar par le ke aati hai main chalta hun ki jaise ek musafir baad muddat apne ghar jae thithurti sard raaton mein koi jaise ki jam jae ki jaise sans tham jae magar mere muqaddar mein sukun-e-qalb-o-jaan kab hai nigah-e-yas mein mubham sahi koi nishan kab hai kahin par shorish-e-amwaj-e-dariya hai kahin aawaz-e-qulqul hai magas ka shor hai sarsar saba ki aah-o-girya hai so dil apna machalta hai kisi se kab bahalta hai dhuan uthta hai dil se aankh mein tufan machalta hai tabiat zor karti hai ye dhadkan shor karti hai tumhaari yaad ke ye chikhte aur pitte lamhe mujhe rone nahin dete mujhe sone nahin dete