rag dub jate hain saz tut jate hain aasman ke goshon mein an-ginat sitaron ke dip bujhne lagte hain din ki dhup mein akasr wasl-e-mumkina ke sab ahd chhod dete hain baaton mein khanak napaid aur chamak nigahon mein mand padti jati hai reshmin lahje bhi khurdure se lagte hain sohbaton mein pahli si be-khudi nahin rahti chehra-e-rifaqat par zardi chhane lagti hai jazb-e-ishq ko thak kar nind aane lagti hai tajrabe ki sarhad par aa ke bhed khulta hai koi bhi talluq ho, ek sa nahin rahta