karachi

karachi mein dekhi hazaron ki hasti
qarar-afrin be-qararon ki basti

amiron ke bangle gharibon ke chhappar
bala ki bulandi qayamat ki pasti

sharifon ki aur shahryaron ki duniya
kahin rel-pel aur kahin tang-dasti

nikharta budhapa machalti jawani
kahin but-gari hai kahin but-parasti

jawanon ke pahlu mein khilte hue dil
hasinon ki nazron se baada-parasti

khiraman khiraman clifton pe aa kar
samundar ki machhli na hansti na phansti

ki shirin mahal khaara dar hai karachi
nai raushni ka nagar hai karachi

badi khubiyan hain bade aadmi mein
gharibon ki katti hai bechaargi mein

adab bhi tijarat wafa bhi tijarat
tijarat ki dhun hai hansi mein khushi mein

salamat rahe kar-khane ki chimani
bada seth mahir hai jadugari mein

jebon ke aadam jiyun ke thikane
chamakte nazar aaenge raushni mein

haya hotalon mein hai aape se bahar
wafa ghar ke andar bhi hai bebasi mein

qamizon se bazu alag ho chuke hain
gharara bhi patlun hai sadgi mein

hasinon ke chehre chamakte damakte
takalluf nahin husn ki aarsi mein

ki khush-posh hai khush-nazar hai karachi
nai raushni ka nagar hai karachi

amiron ka maskan gharibon ka ghar hai
raison ka danishwaron ka nagar hai

gharibon ke khun-e-jigar ki badaulat
amiron ka sukha hua halq tar hai

khudai ke chakkar mein aisa ghira hai
ki banda khuda se yahan be-khabar hai

karachi ki sadken badi tang-dil hain
gharibo tumhaara khuda rahbar hai

yahan sham bhi raat bhi din bhi raushan
gunahon sawabon ki kis ko khabar hai

ki gulshan defence aur society mein
bade log rahte hain al-mukhtasar hai

magar khub se khub-tar hai karachi
nai raushni ka nagar hai karachi

shahidon ki mardan-e-ghazi ki ja hai
yahan apne qaid ka bhi maqbara hai

yahan mir bhi pir bhi khwesh bhi hain
ki meman bhi khube bhi darwesh bhi hain

hasin is nagar ke fusun-kar bhi hain
usul-e-mohabbat ke ghaddar bhi hain

farishton ka ruhon ka maskan yahan hai
hamare liye ye zamin aasman hai

hasinon ki nazron ke haqdar hote
agar hum yahan bar-sar-e-kar hote

chalo hum bhi manenge is ke fusun ko
sambhaale agar ye hamare junun ko

jawan mah-jabinon ka ghar hai karachi
nai raushni ka nagar hai karachi

hamara to hai jogiyon jaisa phera
yahan aql ne dal rakkha hai dera

na 'shair' ne socha na mahir ne dekha
adab ko nae digeston ne ghera

rais apni jhuggi mein thodi jagah den
to hum bhi yahan kar sakenge basera

khuda ki khudai mein sab hain barabar
ye chhappar ye bangla na tera na mera

jo bakhshega insaniyat ko ujala
hamari nigahon mein hai wo sawera

nai zindagi ki nai khwahishon ne
ghamon ko sameta khushi ko bikhera

bahaar-afrin mod par hai karachi
nai raushni ka nagar hai karachi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close