chashm-e-bad-dur karachi mein traffic ka nizam unt-gadi ki gadha-gadi ki tik-tik ka nizam rahgiron se police walon ki jhak jhak ka nizam kitna choukas hai ye pasmanda mamalik ka nizam rah roke hai police kar-guzari dekho kis tarah jati hai shahon ki sawari dekho dekho wo jati hai rishwat se kharidi hui car sehn-e-gulshan mein ho jaise guzaran mauj-e-bahaar pak daman pe nahin us ke zara gard-o-ghubar chor-bazar mein phirti hai ba-sad-izz-o-waqar kya ho is car ke niche jo koi aa jae be-wasila ho to lambi si saza pa jae na khuda ka hai ise dar na hai insan ka dar na ise rakhsha chalate hue haiwan ka dar na police ka hai ise khauf na chaalan ka dar hai agar dar to usi mard-e-musalman ka dar unt-gadi pe sajae jo julus aata hai jis tarah muttahid aqwam mein rus aata hai unt-gadi jo sadak par nazar aa jati hai cadillac car ise dekh ke sharmati hai buick mein huk si uthti hai to bal khati hai mercury thaharti hai dodge bhi katraati hai mujh ko tujh se jo hai ulfat wo hai one-way saqi hum bhi hain tere hi allah ke bande saqi bus chali ja rahi hai umr-e-gurezan ki tarah thas ke baithe hain musafir saf-e-mizhgan ki tarah mubtala pech mein hain zulf-e-pareshan ki tarah dar pe latke hain bashar khar-e-mughilan ki tarah race karti hain basen shahar ke bazaron mein hain ye sab qabiz-e-arwah ke auzaron mein rickshaw jati hai dikhati hui josh aur kharosh aur wo naghma jise sun ke ho jhengur khamosh kaisi bal khati hui jati hai tufan-ba-dosh baith kar jis mein sawari ke bhi ud jaenge hosh jab gadha aata hai raste mein uchhal jati hai apni chandiya ko sawari jo hai sahlati hai ek hafta bhi traffic ka manaegi police jada-paimai ke aadab sikhaegi police ek gadha shahar mein se chun ke jo laegi police us ko har tarah se insan banaegi police hafta bhar baad wo ho jaega pahla sa gadha lakh sar mara magar kuchh nahin sikha na pada kitna achchha hai karachi mein traffic ka nizam na to public na police walon ke munh mein hai lagam roz chaurahon pe karti hai police mashq-e-kalam jada-paimaon ka jari hai wahi tarz-e-khiram ja-ba-ja board pe likkha hai ki khamosh raho fikr-e-farda na karo mahw-e-gham-e-dosh raho