tere nikhre hue jalwon ne di thi raushni mujh ko tere rangin ishaaron ne mujhe jina sikhaya tha qasam khai thi tu ne zindagi bhar sath dene ki bade hi naz se tu ne mujhe apna banaya tha magar pachhta raha hun ab teri be-e'tinai par ki main ne kyun mohabbat ka sunahra zakhm khaya tha tera paikar teri banhen teri aankhen teri palken tere aariz teri zulfen tere shane kisi ke hain mera kuchh bhi nahin is zindagi ke baada-khane mein ye khum ye jam ye shishe ye paimane kisi ke hain banaya tha jinhen rangin apne khun se main ne wo afsane nahin mere wo afsane kisi ke hain kisi ne sone chandi se tere dil ko kharida hai kisi ne tere dil ki dhadkanon ke git gae hain kisi zalim ne luta hai tere jalwon ki jannat ko magar main ne teri yaadon se virane sajae hain kabhi jin par mohabbat ka muqaddar naz karta tha wo yaaden bhi nahin apni wo sapne bhi parae hain kise malum tha manzil hi mujh se ruth jaegi laraz kar tut jaenge meri qismat ke sayyare sar-e-bazar bik jaegi tere pyar ki azmat chalenge ishq ke hassas dil par zulm ke aare bade arman se main ne chuna tha jin ko daman mein kise malum tha wo phul ban jaenge angare jahan tu hai wahan hain nuqrai sazon ki jhankaren jahan main hun wahan chikhen hain fariyaaden hain nale hain meri duniya mein gham hi gham hain tariki hi tariki teri duniya mein naghme hain bahaaren hain ujale hain meri jholi mein kankar hain teri aaghosh mein hire tere pairon mein pael hai mere pairon mein chhaale hain main jab bhi ghaur karta hun teri is bewafai par to gham ki aag mein mehr-o-wafa ke phul jalte hain na fariyaadon se zanjiron ki kadiyan tut sakti hain na ashkon se nizam-e-waqt ke tewar badalte hain main bhar sakta hun teri yaad mein hasrat bhari aahen magar aahon ki garmi se kahin patthar pighalte hain