phir wahi andaz wahi aawaz jaise abhi koi kahega tum meri raushni ho wahi aawaz jis ne mohabbat se nafrat karna sikhaya jis ne bawar karaya ki jism ki to koi haqiqat hi nahin aadmi se aadmi ka rishta kabhi bhi be-maani ho sakta hai tab kisi bite hue bikhre lamhe mein di gai aawaz dub jati hai magar ab ki bar aawaz se aawaz tak ke safar ne jo nam pukara to malum hua ki man mein kahin tuti hui chudi ka tukda rah gaya tha jo ab is aawaz ki lai pe bar bar chubhta hai