phir tasawwur kha riha hai pech-o-tab phir wahi haijaan-o-harkat karb-o-dard-o-isztirab phir wahi dhundle nuqush-e-mah-o-sal phir wahi subh-e-bahaaran phir wahi sham-e-visal phir wahi bite hue lamhon ki yaad phir wahi maujen wahi kashti wahi baad-e-murad phir wahi raqs-e-sharar-e-zindagi phir wahi husn-e-latafat-rez ki tabindagi phir wahi wadon pe lutf-e-intizar phir wahi chashm-e-sukhan-go ke ishaare bar bar phir wahi dard-e-musalsal ki kasak phir wahi mauj-e-tabassum-ha-e-pinhan ki jhanak phir wahi aish-o-tarab ka ehtimam phir wahi bazm-e-tamanna phir wahi saqi-o-jam phir wahi aaghaz-e-ulfat ka surur phir wahi yaadon ke sae zehn mein nazdik-o-dur phir wahi shorish wahi josh-o-kharosh phir kahin diwangi tari na ho ai dil khamosh