ek rukh saz-e-darun se jal na uthen jism-o-jaan kahin rag rag na meri phunk de qalb-e-tapan kahin gum-sum hun aur shashdar-o-hairan kuchh is tarah jaise ki kho chuka hun main ruh-e-rawan kahin us naw ki tarah hun main maujon ke rahm par langar ho jis ke tute kahin baadban kahin ya mast naz sarw sa koi nihaal-e-sabz aa jae zid mein barq ki jo na-gahan kahin ya jis tarah bahaar mein murgh-e-shikasta par hasrat se dekhta hun su-e-asman kahin maghlub is qadar hun main ehsas-e-gham se aaj kho jae siskiyon mein na ye dastan kahin bite dinon ke khwab hain aankhon ke samne farda ka ek khauf hai dil mein nihan kahin nikle the jab watan se hum apne ba-haal-e-zar manzil ka tha khayal na nam-o-nishan kahin kuchh aisi muntashir si hui dosti ki bazm patte bikher deti hai jaise khizan kahin zinda hai yar sohbaten baqi magar kahan diwar khinch gai hai nai darmiyan kahin farda pe kya yaqin ho nalan hun haal par mazi ki samt le chale umr-e-rawan kahin baad-e-saba ke shanon pe amwaj-e-nur par le jao mujh ko doston ke darmiyan kahin ya shama meri yaadon ki gul kar do ek ek tarik dil ka gosha na ho zau-fishan kahin rudad-e-gham sunate hi yun aai un ki yaad main hun kahin khayal kahin dastan kahin ojhal hain go nigah se dil se kahin hain dur zikr-e-habib ab bhi hai wird-e-zaban kahin dusra rukh kyon inqilab-e-dahr se ab muztarib hai tu dekha hai ek haal pe daur-e-zaman kahin aaghosh-e-inqalab mein palna hai irtiqa mar jaen ghut ke badlen na gar ye jahan kahin mahshar-ba-daman lahja hai duniya ka ek ek mazi ke dhundhta hai magar tu nishan kahin tufan ne badh ke qasr ko qaisar ke ja liya rota hai tu ki mera nahin aashiyan kahin paiham rawan hai nit nai manzil ki rah mein rukta hai zindagi ka bhala karwan kahin dukh dard aate dekh ke hota hai ye guman ho zabt ka hamare na ye imtihan kahin aai khizan bahaar bhi hogi qarib hi fitrat ka ye na raaz ho gham mein nihan kahin kab tak tu rahm khaega khud apne haal par kab tak teri talash dil-e-mehrban kahin khush kar na tu kisi ko qaside suna suna jhukne na pae sar ba-dar-e-astan kahin fursat kahan kise jo tera haal-e-gham sune duniyan ko apni kam hai pareshaniyan kahin sine ke apne ghaw ko hans hans ke tu chhupa duniya pe hone pae na hargiz ayan kahin gham ke tarane chhod ke khushiyon ke git ga mushkil ko sahal karte hain aah-o-fughan kahin pa-e-talab na lang ho aur azm ho jawan mard-e-khuda pe tang hai hindostan kahin go sabr-azma hai masafat ki mushkilen hail hai rah-e-shauq mein sang-e-giran kahin chhuta chaman hai ek hazaron nazar mein hain phir hoga shakh-e-gul pe naya aashiyan kahin sahn-e-chaman mein dhum se jaegi phir bahaar khanda hai gul tuyur bhi hai naghma-khwan kahin lut kar 'habib' khush hai ki tajir hai shauq ka hai fikr-e-rozgar na sud-o-ziyan kahin