naya din roz mujh ko kitna pichhe phenk deta hai ye aaj andaza hota hai ki main aahista aahista hazaron mil ki duri pe tum se aa gaya aur ab dinon salon mahinon ko ikattha kar ke gum-gashta dayar-e-hu mein baitha hun na kuchh aage na kuchh pichhe siwa kuchh waswason ke kuchh khasaron ke kamar-basta kahin chalne ko aage jis ka wazeh kuchh tasawwur hi nahin koi hamare sab masail jin ka hum par bojh hai itna hamari kisht-e-be-maya hain is sahra mein kya boya bagulon ke siwa kuchh garm jhonkon ke siwa hum ne chalo ek tez dhaare mein kahin par dal den kashti latafat thande pani ki karen mahsus kuchh thoda bikhar jaen hansen be-wajh yunhi ghul machaen be-sabab dauden uden un baadalon ke pichhe aur milon nikal jaen