sab dariche band hain tum kuchh kaho tum samajhte ho gareban-chaak hun main to andoh-e-samaat ke jarasimon se bilkul pak hun nala-e-bebak hun sab dariche band hain tum kuchh kaho tum samajhte ho ki binai gai bujh gaya har rauzan-e-diwar chup hai raushni nim-wa hai tirgi ye shaguft-e-ghuncha-e-lab ki sada wo hasin qaus-e-quzah rangin-qaba dhadkanon ka silsila sab dariche band hain tum kuchh kaho tum samajhte ho ki sari ungliyan patthar ki hain kyun qalam ke khushk honton se koi kaghaz chhuen ism-e-azam ki likhen sab dariche band hain tum kuchh kaho tum samajhte ho ki khwabon mein khayalon ko liye ladkhadaenge hamesha wasl ki khwahish mein yunhi bin piye apne honton ko siye main samajhta hun ai mere chaara-gar marg-e-gul se peshtar ek siyah shoala sa karta hai tawaf-e-bu-e-jaan lekin ai jaan-e-jahan chhu angusht-e-shahadat se koi nok-e-sinan main likhunga tere chehre par wo anmit dastan zindagi sach bol de jo sab dariche khol de zindagi sach bol de