kitab-e-hayat ka ye panna achchha hota jo barqarar rahta waqt ki tez raftar par kash mera bhi ikhtiyar rahta ek dilkash safina ban kar guzre waqt ka lamha lamha aankhon ki gahri jhil mein khae hachkole rafta rafta ye safina sahil pa bhi leta gar hath mein patwar rahta yun to ek lambe arse tak sath rahe hum ek jagah lekin jaise hi mile kyun judai ka lamha aa gaya qafila waqt ka yahin tham jae hai bas yahi intizar rahta