ek bachchi hua karti thi bahut achchhi hua karti thi sharir se ziyaada wo khwab hua karti thi machli si wo aankhen hamdam bas khwab buna karti thi ek bachchi hua karti thi bahut achchhi hua karti thi na wasta logon se tha na khelna baaton se tha na baaten duniya-dari ki thi na matlab ki duniya sari thi na qisse logon ki nafrat ke the na hisse un ki hi hasrat ke the jo tut gae kahin rah mein jo rah gae kahin bas aah mein rahen har dam saf thi sab ki ghalatiyan bhi muaf thi dil mein bojh nahin rakhti thi wo khwab se khela karti thi sharir se zyaada wo khud khwab hua karti thi ek bachchi hua karti thi dil ki sachchi hua karti thi doston ki kami na thi par khud se ziyaada kisi se jami na thi tab to rab hi bhagwan hua karte the aur bhagwan se hum baaton mein dua karte the zaban pe shabd bahut sare na hon par bhaunaun ki kami na thi mushkilon ko bhi hans kar jite the han rote be-shak the par kabhi hausle past hon aankhon mein aisi nami na thi bite ko chhod diya shikwon ko bhi mod diya pyar jahan se milta tha wahan khud ko us ne tod diya ummiden us mein khub bhari thi ghalatiyan us ne bhi khub kari thi par dil saf tha upar rab ka hath tha to bas baaton mein hi to bas kanton se bhi dosti sachchi kya karti thi ek bachchi hua karti thi iradon ki pakki hua karti thi na zamane ka dar wo thi be-fikr ab zanjiren us pe lad di sau chizen dimagh mein dal di zimmedari ke nam par aazadi us ki mar di aansu us ki kamzori the par kamzori se wo zar thi is liye to unhi ki aad mein sab ne jit us se chhin li har-dam us ko haar di par kaha na wo aam na thi khud se wo anjaan na thi use malum tha kya chal raha hai kaun kis se raha hai hai kaun kaise sambhal raha hai wo khud ko uthane mein mana karti thi waqt aane par wo khud ko jhukane mein mana karti thi mana jit chahti thi par kisi ko girana us ki fitrat mein na tha chot dena kisi ko usi hasrat mein na tha aakhir rog-har thi wo baaton se upchaar kiya karti thi logon ko khwab dikha kar khud upchaar hua karti thi ek bachchi hua karti thi badi achchhi hua karti thi kahin kho gaya wo bachpana kahin kho gai wo bachchi jo achchhi hua karti thi jo sachchi hua karti thi ab bhi dil us ka bachcha hai par duniya dekh ro gaya na-ummidi ki is bhid mein wo ummidon sang bhi kho gaya ek aah jo chhuti thi ummid us ki jo luti thi use tod tod kar ab jod jod kar wo aas jodne chali hai ruh jaan kar apni wo ye raaz chhodne chali hai zanjiron ki is duniya ke sab wo bandhan todne chali hai har tedhi rahon ko wo kuchh aise mod ne chali hai ke dikh to ho par hatasha na ho ek junun ho par be-tahasha na ho wo chahti hai har chahat mein ek chahat ho jo kisi se ghalat na hone de jo kisi ko ghalat na hone de wo chahti hai har aadat mein ek aadat ho jo aadat bigadne na de jo lat ko junun se bhidne na de wo chahti hai har aahat mein ek aahat ho jo dil ko bhatakne na de jo sahi ko ghalat se jhatakne na de jo ummidon ko rah mein latakne na de wo chahti hai har badappan mein bhi bachpan ho umr chahe phir pachpan ho wo chahti hai na-ummidi ke in bhanwaron mein bhi ummidon ka suraj nikle patthar ki in murat mein bhi kahin to chhupa mom pighle wo chahti hai ki ek din koi jhatka mile zindagi ko pata chale ki zindagi baqi hai wo chahti hai wo chahti hai ek sapna pana phir se apne sapne jina phir se har ek khwab bunna phir se har ek kanta chunna par is bar wo chahti hai phir se wo ek bachchi banna jise gaya karti thi duniya sunaya karti thi wo chahti hai phir se wo ek bachchi banna ki duniya phir se gae ye duniya phir sunae ki ek bachchi hua karti thi bahut achchhi hua karti thi wo khwab chunna jaanti thi wo khwab bunna jaanti thi sharir se ziyaada main khud khwab hua karti thi ek bachchi hua karti thi