bhuton ki ek haweli mein kashif miyan gae aisa lade ki bhuton ke chhakke chhuda diye ek bhut kud phand ke chimani pe chadh gaya aur dusra dahad ke chhat phadne laga sab se bada jo tha wahin dham se ludhak raha kashif ke ek ghunse mein chin bolna pada aur chhote-mote bhuton ka kya haal puchhna chhupne ki kone kone mein wo dhundte the ja koi chhupa tha tute hue takht ke tale koi pukarta tha bachao ki hum mare sab moti chhoti bhutniyan chikhne lagin baal apne noch noch ke munh pitne lagin chhote-bade bahut the wahan bhut bhutni kashif miyan ke aage kisi ki nahin chali sab hath bandh bandh ke rote pukarte kashif miyan se kahne lage kijiye muaf hum bhul ke bhi ab na haweli mein aaenge aa bhi gae to aap se kab bachne paenge lekin bade ghazab ki tabhi baat ye hui is shor aur sharabe se aankh un ki khul gai tab ye pata chala unhen ye sab to khwab tha jo bhi ho khwab un ka bada la-jawab tha