aashiq wo ahl-e-hawas ke bich mein do ek aisi trophiyan thin sab ko ye malum tha teamen barabari ki rahengi sab badan ke hausle hain jeb ki karigari hai jo retire ho gaya wo gerwe kapde pahan kar ruh ki mala ke ek sau aath dane bechta hai sab badan ke hausle the pensionen tankhwah ka aksar tihai hi rahi hain aur qimat dhire dhire umr ki surat falak ko chhu rahi hai ek aur nau ki ye nisbat pople munh mein kasili rakh hi ka zaiqa deti rahi hai wo khuda ke nek bande hain ki jin ki jeb mein paisa nahin hai muflisi ke board ghar ghar muft bante ja rahe hain qabz se badh kar koi neamat nahin hai ladkiyan lipstick suno skurts jeans mangti hain jeb ki karigari thi sab badan ke hausle the jeb ki karigari thi