falak ne aag barsai zamin ne kath ke autar ugle ghamon ki barishen barsin charaghon ne lahu ugla chaman ki kyariyan sukhin gulon ke jism kumhlae kai kothe saje kitne gharon mein wahshaten jagin zara si jhunjhlahat sab ke chehre par ubhar aai magar phir jaane kya guzri ki sab ne hath mein kashkol thame aur un logon se apni zindagi ki bhik mangi jo kal tak khud unhin logon ke aage hath phailate rahe the