waba-e-am se marne ka khauf apni jagah kiwad khol ke dekho bahaar aai hai gulon se bharne lage asia ke lala-zar wo dekho ho gae europe ke aasman shaffaf bahut chamakne laga hai hamara sayyara parinde gane lage hain hawaen ho gain saf gharon ke sehnon mein kilkariyan hain bachchon ki mohabbaton ke diye hain har ek shabistan mein wo dekho chum raha hai falak ko mah-e-tamam abhi bhi khwab hain daman-e-nau-e-insan mein lahu mein khauf sahi dil mein waswase hi sahi waba se jang ke ye roz-o-shab bure hi sahi magar umid ki lau phir se timtimai hai kiwad khol ke dekho bahaar aai hai