kya ruh-faza jalwa-e-rukhsar-e-sahar hai kashmir dil-e-zar hai firdaus-e-nazar hai har phul ka chehra araq-e-husn se tar hai har chiz mein ek baat hai har shai mein asar hai har samt bhadakta hai rukh-e-hur ka shoala har zarra-e-nachiz mein hai tur ka shoala larzish wo sitaron ki wo zarron ka tabassum chashmon ka wo bahna ki fida jin pe tarannum gardun pe sapedi-o-siyahi ka tasadum tufan wo jalwon ka wo naghmon ka talatum udte hue gesu wo nasim-e-sahari ke shanon pe pareshan hain ya baal pari ke wo phailna khushbu ka wo kaliyon ka chatakna wo chandni maddham wo samundar ka jhalakna wo chhanw mein taron ki gul-e-tar ka mahakna wo jhumna sabze ka wo kheton ka lahakna shakhon se mili jati hain shakhen wo asar hai kahti hai nasim-e-sahari id-e-sahar hai khunki wo bayaban ki wo rangini-e-sahra wo wadi-e-sarsabz wo talab-e-musaffa peshani-e-gardun pe wo hansta hua tara wo raste jangal ke wo bahta hua dariya har samt gulistan mein wo ambar gulon ke shabnam se wo dhoe hue rukhsar gulon ke wo ruh mein anwar-e-khuda subh wo sadiq wo husn jise dekh ke har aankh ho aashiq wo sadgi insan ki fitrat ke mutabiq zarrin wo ufuq nur se labrez wo mashriq wo naghma-e-daud parindon ki sada mein pairahan-e-yusuf ki wo tasir hawa mein wo barg-e-gul-e-taza wo shabnam ki latafat ek husn se wo khanda-e-saman-e-haqiqat wo jalwa-e-asnam wo but-khane ki zinat zahid ka wo manzar wo barhaman ki sabahat naqus ke sine se sadaen wo fughan ki wo hamd mein dubi hui aawaz azan ki aaqa ka ghulamon se ye hai qurb ka hangam dil hote hain sarshaar fana hote hain aalam chha jati hai rahmat to baras padte hain inam is waqt kisi tarah munasib nahin aaram rone mein jo lazzat hai to aahon mein maza hai ai ruh khudi chhod ki nazdik khuda hai