us ka iqrar kar ke use dhundne chal pada shahr mein dasht mein koh o dariya mein, main muddaton mara mara phira lekin us ka nishan meri nazron se ojhal tha ojhal raha aakhirash thak ke jab so gaya main kisi mod par to mere parda-e-khwab par ek tahrir mujh se mukhatib hui is tarah tera iqrar bilkul baja hai magar yaad rakh ek inkar bhi juzw-e-lazim hai mazkura iqrar ka is liye ghair-mumkin hai takmil tere is iqrar ki jab talak is ki buniyaad qaem na ho juzw-e-inkar par na-mukammal hai iqrar jab tak tera ghair-mumkin ki pae tu us ka pata!