urus-e-amn ke honton pe sahmi sahmi si machal rahi hai tabassum ki kahkashan ban kar ye zindagi jo kahin phul hai jawani hai kisi hasin ka takallum kisi sanam ka jamal kisi ki zulf ka baadal kisi nazar ka khumar kisi damakti jabin par haya ki surkh lakir jhuki jhuki si nigahon ka sehr-e-hosh-ruba ye zindagi ki jo tahzib-e-adamiyyat ko sajae palkon pe kajal ki tarah nazan hai ye zindagi jo tamaddun ko apne sine se lagae raqs-kunan hai sahar ki rahon mein ye zindagi ki jo insaniyat ke paikar mein khala ki god mein fitrat se ham-kalam hui ye kaenat ke barbat pe dil-nashin ek rag zamin ki mang ka sindur aasman ka suhag jilau mein qafila-e-rang-o-nur lai hai urus-e-amn ki aaghosh mein dar aai hai