ye unch-nich ye nafrat ye jehl ye iflas zamin pe kis ne lagae ye zahr ke paude ki jin ke sae mein insaniyat sisakti hai ki jin ki chhanw mein hote hain maut ke saude fareb-o-kizb ke sar par hai taj-e-zar-afshan sadaqaton ki jabin par lahu ka tika hai pinha ke zulm ko kis ne labaada-e-taqdis gulon ke nam pe sadiyon chaman ko luta hai sana-e-jabr-o-sitam hai adab ka shah-para khulus-e-fikr-o-nazar aib hai fasane mein haqiqaton ka bayan hai baghawat-e-ehsas usul sab se bada jurm hai zamane mein shikast-e-dil ko samajhte hain ishq ki azmat in aansuon se charaghon ka kaam lete hain dukhon ke shahr mein be-kaif si hansi ke liye hum apne zehn ko pahron fareb dete hain bhatakte rahte hain ehsas ke bayaban mein zamir-e-fan ko siyah nag daste rahte hain nazar se ahl-e-zamana ki ho ke poshida hum apni fikr ke shoalon mein aap jalte hain