tum mujhe imtihan mein dalo main tumhein imtihan mein dalun phir natija ho jis ka ruswai aur hasil ho sham-e-tanhai is talluq ka faeda kya hai is se bachne ka rasta kya hai main ne pahle bhi tum ko dekha hai aur har bar dekhna hai kya jao tum ko nai hayat mile khud-farebi se ab najat mile main koi yaad hun na koi khayal mera aashiq hai tu na shahr-e-jamal apni duniya mein khush raho jaanan qissa-e-dard mat kaho jaanan raushni se guzar gae sae tirgi mein utar gae sae phir kahin nam hai na koi pata zindagi tera ghar kahan hai bata