tumhaari aankhen khushi ki khwahish liye hui thin tumhaari sochon mein ahd-e-mazi ki silwaten thin tumhaare gesu ghumarti ghirti ghataon ke kuchh ghanere baadal bane hue the qadam badhae nazar jhukae badan badan churae aa rahi thi hawaen bhi gunguna rahi thin kali kali muskura rahi thi khizan-rasida chaman mein jaise bahaar chupke se aa rahi thi magar achanak ye khwab tuta to main ne dekha rida-e-shab pe koi sitara nahin tha baqi jahan judai ke sare lamhe gale mile the wahan mohabbat ki mang bharne ko shabnam utri khizan-rasida badan-darida wo shab-gazida udas lamhe! ajib wahshat jaga rahe the wajud se wo adam ki duniya mein ja rahe the ki khwab tha bas tumhaara aana