ek rut aae ek jae hum rut rut chaunken karwat badlen so jaen masum gulab phuwaren be-lafz tahayyur baadal chamkile safine maidan thahra hua pani sae wo jazire dhani ujli shadabi aankhen bhaunra to hansi fawwara phir dhul dhuen ka parda aana jaana chaunkana ek khel ruton ka apni nazron se ojhal ek sayyara dil apna anjaane kohar mein duba uryan pur-nam ka shaffaf raqiq ujala wo ghulte pighalte khandar wo sannata is mein pighalta dekha to qalam bhi apna ek din pighla pighla tha shera shera shayad ek tair tha jo chahkara dhundle dhundle ghaaron mein wo ghumte phirte raste aawaz ke lahre ko phir bahar le aae tapte suraj ke niche suraj ke niche jharna hamhama na thamne wala raushan pani ka bauchhaar ka shor hawa mein udti hui jagmag thandi simabi chhalki chhalki suraj ke niche jharna kirnon ke liye aaina patthar ke sarapa un ki patthar khamoshi ek chakna-chur chhanaka shishe ka zarf tha koi kafir kafir sargoshi barham sargarm hawa ki kafir kafir wo guchchhe phulon ke phulon ke khazane unchi shakhon se jhukae kis ne kiya tanha tum ne kafir kafir sargoshi baaten aur kitni baaten jari thin kitne mausam badle kitni taqdiren tahriren un ke ubharne mitne mein apna ubharna mitna mitte mitte bhi hum faiq sab se kahna kah kar khil uthna ab ek sapna lagta hai rut kajal pighla pighla rut gahra jal bisrawa ek khak-basar aangan se ugta hua tara naghma jine ka jawaz hai kis ka apna nahin phir bhi kitna apna lagta hai is par sar dhunte dhunte mit jae yaad na aae pairaya ma-o-shuma ka ye kaun si rut hai kis se puchhen kya nam hai is ka