ye baaten jhuti baaten hain ye logon ne phailai hain tum 'insha'-ji ka nam na lo kya 'insha'-ji saudai hain hain lakhon rog zamane mein kyun ishq hai ruswa be-chaara hain aur bhi wajhen wahshat ki insan ko rakhtin dukhiyara han be-kal be-kal rahta hai ho pit mein jis ne ji haara par sham se le kar subh talak yun kaun phirega aawara ye baaten jhuti baaten ye logon ne phailain hain tum 'insha'-ji ka nam na lo kya 'insha'-ji saudai hain ye baat ajib sunate ho wo duniya se be-as hue ek nam suna aur ghash khaya ek zikr pe aap udas hue wo ilm mein aflatun sune wo sher mein tulsidas hue wo tis baras ke hote hain wo b-a ma pas hue ye baaten jhuti baaten hain ye logon ne phailai hain tum 'insha'-ji ka nam na lo kya 'insha'-ji saudai hain gar ishq kiya hai tab kya hai kyun shad nahin aabaad nahin jo jaan liye bin tal na sake ye aisi bhi uftad nahin ye baat to tum bhi manoge wo 'qais' nahin farhad nahin kya hijr ka daru mushkil hai kya wasl ke nuskhe yaad nahin ye baaten jhuti baaten hain ye logon ne phailai hain tum 'insha'-ji ka nam na lo kya 'insha'-ji saudai hain wo ladki achchhi ladki hai tum nam na lo hum jaan gae wo jis ke lambe gesu hain pahchan gae pahchan gae han sath hamare 'insha' bhi is ghar mein the mehman gae par us se to kuchh baat na ki anjaan rahe anjaan gae ye baaten jhuti baaten hain ye logon ne phailai hain tum 'insha'-ji ka nam na lo kya 'insha'-ji saudai hain jo hum se kaho hum karte hain kya 'insha' ko samjhana hai us ladki se bhi kah lenge go ab kuchh aur zamana hai ya chhoden ya takmil karen ye ishq hai ya afsana hai ye kaisa gorakh-dhanda hai ye kaisa tana-bana hai ye baaten kaisi baaten hain jo logon ne phailai hain tum 'insha'-ji ka nam na lo kya 'insha'-ji saudai hain