chune main ne maujon se moti jawahir se jyoti bahaaron se rag liye main ne khoshon se khushbu ke toshe ulat kar nigahon se rahon ke goshe badha main chala main liye sath sawan ki purwa chanaron ki aag bahaaron ke rag na kaam aae maujon ke moti jawahir ki jyoti na khushbu na rag muqaddar mein paiham nujum-e-shab-e-gham masarrat ka matam musibat ka aalam wo sare khazine khizaon ne chhine ki sine mein hai ab chanaron ki aag na khushbu na rag milin gham ki maujen masaib ki faujen rag-o-pai ke andar samundar ke rag haqaeq ke zindan mein hairan pareshan tasawwur takhayyul tanaffus se nalan mujhi ko lagane bujhane ko pai jahan ne suhane chanaron ki aag samundar ke rag magar tere daman mein phulon ke maskan mein sunta hun aksar bahaaron ke rag tere narm khoshe mohabbat ke toshe mere bhole-bhaale hasin dil ke goshe mere ranj-o-gham mere fikr-o-alam ko dikhate hain aakar chanaron ki aag sitaron ki aag