main jab main se bahar nikla main ne puchha kaun hai to khamoshi thi koi nahin tha ek dhundalka chhaya tha suraj bhi kirnon ko samete tariki mein leta tha aaine par rakh jami thi kohre ki si rakh ki jis mein koi surat saf nazar aati hi nahin thi meri surat mere zehn se mahw thi lekin aaine par rakh jami thi main jab main se bahar nikla shahr mein sae hi sae the koi nahin tha jaise hiroshima mein atom bam ka dhamaka kenchuli sab ke jismon ki ruhon se utare har-su aise phail raha tha jaise us ne waqt ko maut ke ghat utara shahr the ya sahra the jin mein baadal ban kar narm bagule banhon mein banhen dale yun nach rahe the jaise sham-o-sahar ka chakkar tut gaya ho jaise wo aazad hue hon sham-o-sahar se main jab main se bahar nikla waqt ne mere hathon mein ek lamha rakkha aur kaha ye lamha tera hai ja le ja ye lamha jo nur-e-azal hai ye lamha jo bahr-e-abad hai is lamhe ki kokh mein jannat bhi hai nar-e-jahannam bhi is lamhe ko tu jaisa bhi chahega ban jaega ye lamha tera lamha hai apne jism mein rakh le tu ye ek dhadkan hai apni aankh se tapka le tu ek aansu hai hawas ki mitti mein boega lamhon ka ambar lagega ishq ki aanch dikhaega to tera lamha ghaar-e-hira mein tur ki jot jagaega ab main apne aap mein aa kar soch raha hun is lamhe ko bich ke donon waqt ki roti kha lun main ya us ko ek phul bana kar teri zulfon mein rakh dun aur apna pyar jata lun main