mangal talab

hae wo talab han jis ke kinare par kabhi
chandni raaton mein bandha tu ne ahd-e-dosti

ab bhi yaad aati hain wo rangin mulaqaten mujhe
khun rulwati hain ab bhi chandni raaten mujhe

un kinaron par abhi tak hain kuchh aise bhi nishan
jin ke sinon mein nihan hai ek mohabbat ka jahan

yaad hain ab tak mujhe gham ki latafat ke maze
wo sharabi muskurahat wo mohabbat ke maze

baith kar aksar ghani shakhon ki thandi chhanw mein
main ne pahnae hain moze tere nazuk panw mein

husn ki mai pi ke har shai mast thi makhmur thi
ishq ke naghmon se ye sari faza mamur thi

ai mere mahbub sach kahna tujhe bhi yaad hai
aah wo wadi jo ab barson se ghair-abaad hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close