jis ke pahlu mein bagh-e-jannat hai us ke pahlu se uth ke aaya hun jis ke pahlu mein aag jalti hai us ke pahlu mein jal ke dekha hai jis ke pahlu mein barf jamti hai us ko apni hararaten de kar main ne pani bana diya lekin zindagi tum ko sharm aati hai meri mahbub ho gai kab se mujh se mansub ho gai kab se tum ne kati fasadiyon ke sath kab qayamat ke jaisi bhaari raat rahaton ka bhi camp hota hai tum ko malum hi nahin shayad mere pahlu mein aa ke leti ho tum meri khwab-gah jaisi ho phir bhi chhune se dar raha hun main aur har lamha mar raha hun main sach kahun tum to lajwanti ho