main aakhir kis ki jagat jagta hun papoton mein ye kis pani ka namkin zaiqa hai meri putli mein kis ki raat hai aur qarniya mein kaun se yug ka sawera hai ye din bhar kaun mizhgani kiwadon ko musalsal kholta aur band karta hai meri tar-e-nazar par baith kar aakhir zamane mein nazar kis ki utarti hai main aankhon se ye kis manzar ke andar bhagta hun main aakhir kis ki jagat jagta hun? bhala main kis ka sona so raha hun ye reg-khwab par bante bigadte kya nishan hain mere andar to jitne qafile chalte hain sare ajnabi hain main har ek khwab mein koi shanasa dhundta hun ye kaisi aurten hain jo sar mein ret ka afshan bhare mujh ko jakadti hain jo baad-az-ikhtalat aahon se chikhon se pighal kar ret ho jati hain gili ret mein!! ye bachche kis sadi ke hain jo apne qahqaha-awar khilaune mere hathon mein thama kar bhag jate hain ye kis mabad ke jogi hain sahifon ki zaban mein bolte hain in ke farghul phadphadate hain hawa mein rish udti hai ye main kis ki khushi ko hans raha hun kis ka rona ro raha hun bhala main kis ka sona so raha hun? main aakhir kis ka jina ji raha hun main sahra ka shajar hun jis ki shakhen ghonslon se jhuk gai hain kirae ka makan hun jis ke kamron mein parae log rahte hain faraaz-e-koh par koi purana ghaar hun main hawa se gunjta saya-zada viran khandar hun kabhi hun istada aur kabhi mismar hun main fasil-e-shahr hon ya saya-e-diwar hun main mere andar se hi koi mujhe batlae main kya hun? mere khaliyon ke gile markazon mein band d-n-a mere man bap ka hai jo is ke gird pani hai wo kis bechain sayyare ke sagar se utha hai main kis ko bhogta hun ye aakhir kaun mujh mein gunjta hai sansanata hai main aakhir kis ka hona ho raha hun