aaj is bazm mein aae ho badi dhum ke sath be-khudi mahw-e-nazara hai tumhaari khatir yaad aate hain wo ayyam-e-judai hum ko jinhen hans hans ke guzara hai tumhaari khatir go ma-e-lutf se khali nahin pindar-e-junun yan gham-e-ishq ka yara hai tumhaari khatir ranj uthana to koi baat nahin hai lekin zahr pina bhi gawara hai tumhaari khatir haar aur jit ke mafhum mein kya rakkha hai jit kar bhi koi haara hai tumhaari khatir turk-e-shiraaz ho tum hafiz-e-shiraaz hun main ab samarqand-o-bukhara hai tumhaari khatir tum jo aae ho to is zist ki lazzat pa kar hum ne aalam ko sanwara hai tumhaari khatir aaj hum ne mah-o-anjum ko bhi zahmat di hai aasmanon se utara hai tumhaari khatir lala-o-gul ko bahaaron ko saman-zaron ko dida-o-dil ne pukara hai tumhaari khatir phir yahan shisha-o-saghar se charaghan hoga phir koi anjuman-ara hai tumhaari khatir