sal-e-nau

ab raat dhal rahi hai koi do ka waqt hai
aankhon mein nind jhul rahi hai abhi talak

lekin main sal-e-nau ke liye jagta rahun
ummid ke charagh jalaun nae nae

baitha hun khamushi ki nawaon ko chhed kar
apne ghamon se aaj bhi fursat nahin mujhe

palkon pe aaj bhi to larazte hain ye diye
lekin unhin ghamon se naya aastan bana

wajh-e-sukun hai aaj khayal-e-gurez-pa
tute hue dilon ko sahaara bhi de saka

jab dil ki dhadkanon se mile dars-e-agahi
phir kis liye junun mein koi intishaar ho

na-kaamiyan hayat ki sharma na jaengi
is des ki fazaon se gar hum ko pyar ho

in mai-kadon se kal bhi na tha mujh ko wasta
jin mein lahu ke jam uthate hain hukmaran

ehsas ki nigah magar dekhti hai ab
kuchh aur tez-gam hua karwan-e-shauq

aur sal-e-nau bhi sath isi karwan ke hai
in jhonpadon mein aaj charaghan nahin to kya

do-chaar sal aur bhi imkan nahin to kya
fasl-e-bahaar aaegi jhumengi daliyan

phulon mein pat pat mein rangat samaegi
honge kabhi to jam-ba-kaf khas-o-am sab

har har nigah saghar-o-mina uthaegi
zulf-e-hayat shauq se parcham udaegi

main aaj sal-e-nau ke liye jagta rahun
ummid ke charagh jalaun nae nae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close