main zindagi ki kadi masafat tumhaari chahat mile bina bhi mujhe yaqin hai ki kat lunga main aise logon ko jaanta hun jinhon ne apni tamam umren sarab-sayon ki justuju mein yahi samajh kar guzar di hain ki chahaton ke ye khwab-lamhe ye furqaton ke azab-lamhe kabhi banenge gulab-lamhe ye log wo hain ki jin ke yaadon ke canwas par visal-e-mausam ki ek mubham lakir bhi to nahin bani hai pa meri yaadon ke hath mein to tumhaari poron ka lams ab tak gulab ban kar mahak raha hai mujhe yaqin hai ki jab bhi chahun tumhaare be-had hasin hathon ko thamne ka har ek lamha mere khayalon ke daere se nikal ke mujh ko visal-mausam ki khushbuon mein muhit kar de mujhe yaqin hai main zindagi ki ye sab masafat kadi masafat tumhaari yaadon ki khushbuon mein bhi kat sakta hun kat lunga