aaj tariki-e-shab had siwa lagti hai jaane kya baat hui hai ki ghutan hoti hai go ki ek umr guzari hai isi zindan mein nim-tarik se is gosha-e-viran se meri aisa lagta hai ki derina shanasai hai us ki diwaron pe likkhe hain kai afsane jin mein dil-gir tamannaon ki gahrai hai us ki be-jaan zamin ne meri aankhon mein bahut khushk sine ke liye aab-e-baqa paya hai us ki makhdush shikasta si chhaton ne aksar shab dhale nala-e-dil-gir ko dohraya hai usi zindan ke rauzan ne sahar ke qisse mehrban ho ke mere haal pe dohrae hain ab ye aalam hai ki gardan ka hai hamraaz ye tauq bediyan hain mere pairon ki saheli ab to ab to zanjir ki jhankar mein lutf aata hai ab ye parwana rihai ka jala do to sahi usi zindan ko meri qabr bana do to sahi taq ki sham-e-talluq bhi bujhao to sahi us se kah do ki rihai nahin hone wali mujh mein zindan mein judai nahin hone wali lazzat-e-wasl use ab nahin milne wali dil gai raat sahar ab nahin hone wali