hai jahan-e-guzaran khwab ka bilkul naqsha dida-e-hazrat-e-insan ke liye dhoka sa shadmani ka tabassum hai ki aansu gham ka ye bhi jhuta hai jo meri suno wo bhi jhuta yan hai jo chiz wo sachchi nahin juz nam-e-khuda nam-o-shohrat ke ye chumkare bhi bilkul jhute misl-e-nairang-e-shafaq hum ne badalte dekhe ishq-o-ummid hai kya husn samajhte ho kise ye wo hain phul chune jaen jo qabron ke liye yan hai jo nur wo qaem nahin juz zat-e-khuda bahr-e-tufani-e-duniya mein hain hum sar-gashta mauj-e-gham mein hai jahaz apna theater khata raushni aql ki hai wahm ka ya chumkara in se tufan ke siwa hum ne na kuchh bhi dekha yan hai jo shai bhi wo maskan nahin juz nam-e-khuda