main ek hasin khwab dekhta hun main dekhta hun wo kisht-e-viran ki salha-sal se jo abr ko bhi taras rahi thi wo kisht-e-viran ki jis ke lab khushk ho chuke the jo abr-e-naisan ki muntazar thi jo kitni sadiyon se baad-o-baran ki muntazir thi main dekhta hun us apni maghmum kisht-e-viran pe kuchh ghata nahin jo aaj lahra ke chha gai hain ye sard hawa ke jhonke na ruk sake jo kisi ke roke zara tamazat jo kam hui hai hayat kuchh mohtaram hui hai main ek hasin khwab dekhta hun main dekhta hun ki jaise shab ki siyah chadar simat rahi hai wo tirgi hum jise muqaddar samajh chuke the wo chhat rahi hai main dekhta hun ki subh-e-farda hazar ranaiyan jilau mein liye muskura rahi hai main dekhta hun jabin ufuq ki jo nur-e-farda se hai munawwar sahar ka paigham de rahi hai jo raushni ka jo zindagi ka har ek ko inam de rahi hai