aaj may ka pahla din hai aaj ka din mazdur ka din hai zulm-o-sitam ke madd-e-muqabil hausla-e-jamhur ka din hai aaj ka din ye ilm-o-hunar ka fikr-o-amal ki fath-o-zafar ka aaj shikast-e-zulmat-e-shab hai aaj farogh-e-nur ka din hai sadiyon ke mazlum insan ne aaj ke din khud ko pahchana aaj ka din hai yaum-e-anal-haq aaj ka din mansur ka din hai apne lahu ka parcham le kar aaj ke din mazlum uthe the ek nae unwan ki riwayat ek nae dastur ka din hai ab na kabhi hum zulm sahenge jabr-o-sitam pe chup na rahenge ek nae elan ki saat ek nae manshur ka din hai