main ne khwabon ke hasin jal bune chandni shab ki bahaaron mein kabhi subh ke phaile chanaron mein kabhi din ke hangamon ke har pahlu mein sham ke badhte hue jadu mein main ne jab chaha nae phul chune main ne khwabon ke hasin jal bune apne har khwab mein paya tum ko mand karte hue taron ke diye gungunate hue chashmon ko liye muskuraate hue pas aate hue dam-e-aghosh mein rah jate hue main ne yun apna banaya tum ko apne har khwab mein paya tum ko ek giran lamhe ki rau mein ek din tum ko afsana sunaya apna raaz koi na chhupaya apna apne khwabon ki dikhai duniya aarzuon se sajai duniya husn-e-gul-rang ki zau mein ek din ek giran lamhe ki rau mein ek din tum ne kya samjha na jaana barson main fusun-saz bahanon mein raha dhyan ke lakhon thikanon mein raha har kathin rah ko aasan dekha hasraton ko bhi ghazal-khwan dekha yaad aaya wo zamana barson tum ne kya samjha na jaana barson ab na wo khwab na wo baaten hain tum bhi pahle se nahin ho shayad apni fitrat se qarin ho shayad waqt ne manzilen ki hain kya tai mujh se begana hui hai har shai har taraf phaili siyah raaten hain ab na wo khwab na wo baaten hain