tumne KHud-kushi kyon ki

main khud-kushi na karta to mar jata
main ne bachchon ki aankhon mein

khwahishen bilakti dekhin to
aangan mein

sebon ke bonsai darakht laga diye
jab bachche bade hue

aur unhon ne seb todna chahe
sebon ke darakht khajuron ke darakht ban gae

bachchon ke hath
duaon ki tarah uthe rahe gae

main ne khajur ke tane ko banhon mein le liya
aur zakhmi pairon se daudta

upar chadh gaya
to wahan seb nahin the

main ne bachchon ki phaili hui jholiyan dekhin
aur un mein chhalang laga di


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close