sapne mein raat aai dilli dair talak batyai dilli puchh rahi thi haal batao guzra kaise sal batao basne walon mein dilli ke bolo sachche dost nahin the ya ki buzurgon ki sohbat mein kami thi kuchh un ki shafqat mein ba-yak nazar har chiz bhula di manzar ko ya khud ko saza di main jo tere dil ki ada thi kya meri ulfat hi khata thi galiyan sadken daftar hotel har ja hai yaadon ki halchal aaj mein kya khubi hai jo yun bhul chuke ho tum apna kal husn ke hain wo kaun se jalwe jo mere daman mein nahin the kya aisi uftad padi jo bhul gae dil-saz zamin ko kya mere sae ke niche rahat aur aaram nahin the mana parai thi main hae apnon se kitne sukh pae sawalon ki is aad mein dilli wajh-e-judai puchh rahi thi jami thin mujh par kai nigahen dil mein dabi thin apni aahen kahta kya alfaz nahin the aankhon se aansu bah nikle sari haalat jaan gai wo kah ke mujhe nadan gai wo sapne mein raat aai dilli dair talak batyai dilli