kitni raushan kyun na ho 'azad' aakhir ek din sham-e-hasti maut ke jhonkon se gul ho jaegi jaise gahware mein so jata hai tifl-e-shir-khwar zist aaghosh-e-ajal mein is tarah so jaegi mah o akhtar hain khajil jis se wo chingari zarur ek na ek din aalam-e-zulmat mein kho jaegi lekin is zulmat-kade mein ek nur aisa bhi hai gardish-e-ayyam jis ke pas aa sakti nahin ek aisa bhi hai lauh-e-waqt par naqsh-e-dawam koi shai bhi jis ko aalam se mita sakti nahin maut jhonke le ke utthe ya bagule le ke aae azmat-e-kirdar ka shoala bujha sakti nahin