dil ko sanson ne khasta kiya dhundle ho gae aankh ke aaine is liye ye zamin muskuraate hue hanpti kanpti dikh rahi hai shab ke pichhle pahar chhutne wali is rail ki aakhiri sitiyan yaad ki gathdiyan aur dil jaise raushan ilaqe mein gahra andhera samaat pe tarikiyon ka buna ek jala guman ho raha hai ki taswiren gili padi hain aur un par meri donon aankhen jami hain yahi kah rahi hain sandesa koi mere baba mere bhai mathe pe bosa