wadi-e-kailash

main kafir hun
mujhe khushbu bhari wadi bulati hai

jahan kirnen utarti hain
to dharti raqs karti hai

jahan jharne machalte hain
fazaen gungunati hain

jahan nafrat nahin hoti
jahan qatil nahin hote

jahan ghurbat to hoti hai
magar mujrim nahin hote

wo wadi hi to jannat hai
mohabbat hi ibaadat hai

jahan sab log raqsan hain
khushi ke rang mein dube

sarapa nur sab chehre
bas apni dhun mein raqsan hain

khushi bhi raqs hai un ka
ghami bhi raqs hai un ka

wo ulfat bhi manate hain
wo furqat bhi manate hain

wo kafir hain
magar ab bhi hasin jannat mein rahte hain

main kafir hun
mujhe khushbu bhari wadi bulati hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close