wo khwab ki jin mein jalti thi shamen tere rukhsaron ki wo khwab ki jin mein banti thi taswir mere shahkaron ki wo khwab ki jin ki taqat se duniya ka rup badalna tha wo khwab ki jin ki thandak mein shoalon par mujh ko chalna tha wo khwab ki jin ke daman mein tahzib-e-nau ke khake the aane wale kal ki khushiyan guzre hue kal ke sae the un khwabon ke anjam pe ye aankhen sharminda hoti hain wo khwab jo sare tut chuke un ki mayyat pe roti hain ye duniya kitni zalim hai khwabon ka sauda karti hai masum dilon ki aarzuen sikkon mein taula karti hai is duniya ke har goshe mein ghurbat hai bhuk hai khwari hai kuchh ke hisse mein sarmaya kuchh ka hissa nadari hai aisi duniya mein khwab mere zinda kaise rah sakte the shishe ki tarah wo nazuk the ye thes kahan sah sakte the lekin main abhi mayus nahin har gham ko khushi mein dhaalunga wo khwab jo mujh se ruth gae un khwabon ko samjha lunga main phir ubhrunga jine ke kuchh aur nae arman liye ye daur badalne ke dawe apne haq ka elan liye main basti basti ghar ghar mein naron ki aag bichchha dunga mazlum jafa-kash logon ki soi taqdir jaga dunga main git likhunga faslon par baghon kheton khaliyanon par mill mazduron ki toli par ganw ke mast kisanon par ab jab tak bhi main zinda hun har dukh har sadma jhelunga main tufanon se uljhunga main har khatre se khelunga aur mar bhi gaya to dharti ke har zarre mein bat jaunga main har ek ke gham ka sathi sab ka shair kahlaunga